raat-din KHarch ho raha hun main
rāt-din ḳharch ho rahā huuñ maiñ
ab ziyāda nahīñ bachā huuñ maiñ
zindagī hādsoñ meñ guzrī hai
roz ik jang laḌ rahā huuñ maiñ
phir mujhe DaañT kar bulā lo maañ
rāsta phir bhaTak rahā huuñ maiñ
ab numū aur kyā numā.ish ho
ab dikhāve se thak chukā huuñ maiñ
ek ummīd ne jalā.e rakhā
ek ummīd meñ bujhā huuñ maiñ
raat-din KHarch ho raha hun main
ab ziyaada nahin bacha hun main
zindagi hadson mein guzri hai
roz ek jang laD raha hun main
phir mujhe DanT kar bula lo man
rasta phir bhaTak raha hun main
ab numu aur kya numaish ho
ab dikhawe se thak chuka hun main
ek ummid ne jalae rakha
ek ummid mein bujha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.