raat din majra udasi ka
raat din mājrā udāsī kā
duur tak silsila udāsī kā
sab se dīvāna-vār pūchhtā huuñ
maiñ Thikāna pata udāsī kā
mujh ko ḳhushiyāñ na raas ā.eñgī
maiñ to huuñ mubtalā udāsī kā
mere marne ke baad socho to
kyā banegā bhalā udāsī kā
shā.erī ke liye munāsib hai
raat aur marhala udāsī kā
shab-e-furqat nahīñ 'vasīm-ahmad’
saañp hai reñgtā udāsī kā
raat din majra udasi ka
dur tak silsila udasi ka
sab se diwana-war puchhta hun
main Thikana pata udasi ka
mujh ko KHushiyan na ras aaengi
main to hun mubtala udasi ka
mere marne ke baad socho to
kya banega bhala udasi ka
shaeri ke liye munasib hai
raat aur marhala udasi ka
shab-e-furqat nahin 'wasim-ahmad’
sanp hai rengta udasi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.