raat din subh o sham likhta hun
raat din sub.h o shaam likhtā huuñ
aur bas terā naam likhtā huuñ
mere maazī ke gum-shuda sāthī
roz tujh ko salām likhtā huuñ
ye ibārat sambhāl kar rakhnā
zindagī tere naam likhtā huuñ
terī ḳhātir hai ḳhaas kar ye ġhazal
yuuñ to ash.ār-e-ām likhtā huuñ
vaqt kī ret par na jaane kyuuñ
maiñ 'ḳhayāl' apnā naam likhtā huuñ
raat din subh o sham likhta hun
aur bas tera nam likhta hun
mere mazi ke gum-shuda sathi
roz tujh ko salam likhta hun
ye ibarat sambhaal kar rakhna
zindagi tere nam likhta hun
teri KHatir hai KHas kar ye ghazal
yun to ashaar-e-am likhta hun
waqt ki ret par na jaane kyun
main 'KHayal' apna nam likhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.