raat do raat ka basera hai
raat do raat kā baserā hai
zindagī jogiyoñ kā pherā hai
bujh gayā chāñd so ga.e taare
duur kitnā abhī saverā hai
'umr bhar nāchtā nachātā hai
ġham bhī goyā koī saperā hai
vaqt kī sādgī pe mat jaao
vaqt sab se baḌā luTerā hai
raushnī chhan rahī hai har jānib
phir bhī har rāsta añdherā hai
jaam kā silsila darāz rahe
mai-kada zindagī kā Derā hai
dil pe guzre jo hādsāt 'kañval'
un ko ash'ār meñ bikherā hai
raat do raat ka basera hai
zindagi jogiyon ka phera hai
bujh gaya chand so gae tare
dur kitna abhi sawera hai
'umr bhar nachta nachata hai
gham bhi goya koi sapera hai
waqt ki sadgi pe mat jao
waqt sab se baDa luTera hai
raushni chhan rahi hai har jaanib
phir bhi har rasta andhera hai
jam ka silsila daraaz rahe
mai-kada zindagi ka Dera hai
dil pe guzre jo hadsat 'kanwal'
un ko ash'ar mein bikhera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.