raat gae tak yunhi chalta rahta hun
raat ga.e tak yūñhī chaltā rahtā huuñ
vīrānī se bāteñ kartā rahtā huuñ
merī chhāñv meñ baiThne vaale soch zarā
saarā din maiñ dhuup meñ jaltā rahtā huuñ
aap to bilkul vaise mujh ko lagte ho
maiñ jis phuul ko ḳhvāb meñ dekhtā rahtā huuñ
jīvan mujh ko roz guzāre jaatā hai
maiñ huuñ ke bas ḳhaak uḌātā rahtā huuñ
maiñ ne ik din jhuuT kā luqma khāyā thā
ab maiñ aksar ḳhuun ugaltā rahtā huuñ
aksar mujh ko ḳhud pe ronā aatā hai
aksar yūñhī ḳhud pe hañstā rahtā huuñ
ek ajab sā peḌ bulātā hai mujh ko
aur maiñ us ke ḳhauf se Dartā rahtā huuñ
jab bhī maiñ ne tujh se milnā hotā hai
ḳhud se terī bāteñ kartā rahtā huuñ
raat gae tak yunhi chalta rahta hun
virani se baaten karta rahta hun
meri chhanw mein baiThne wale soch zara
sara din main dhup mein jalta rahta hun
aap to bilkul waise mujh ko lagte ho
main jis phul ko KHwab mein dekhta rahta hun
jiwan mujh ko roz guzare jata hai
main hun ke bas KHak uData rahta hun
main ne ek din jhuT ka luqma khaya tha
ab main aksar KHun ugalta rahta hun
aksar mujh ko KHud pe rona aata hai
aksar yunhi KHud pe hansta rahta hun
ek ajab sa peD bulata hai mujh ko
aur main us ke KHauf se Darta rahta hun
jab bhi main ne tujh se milna hota hai
KHud se teri baaten karta rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.