raat gae yun dil ko jaane sard hawaen aati hain
raat ga.e yuuñ dil ko jaane sard havā.eñ aatī haiñ
ik darvesh kī qabr pe jaise raqqāsā.eñ aatī haiñ
sāda-lauhī kī nibTegī is rañgīn zamāne se
do āñkhoñ kā pīchhā karne laakh adā.eñ aatī haiñ
DhūñDh rahī hai mere tan meñ shāyad merī ruuh mujhe
apne sannāToñ se kuchh mānūs sadā.eñ aatī haiñ
merā ik ik lamha karb liye phirtā hai sadiyoñ kā
ik duniyā ke raste meñ kitnī duniyā.eñ aatī haiñ
pahle sar se ūñchī lahroñ se bhī ham laḌ lete the
ab to in sūkhe hoñToñ par sirf duā.eñ aatī haiñ
dasht-navardī ke daurān 'muzaffar' sar par dhuup rahī
jab se kashtī meñ baiThe haiñ roz ghaTā.eñ aatī haiñ
raat gae yun dil ko jaane sard hawaen aati hain
ek darwesh ki qabr pe jaise raqqasaen aati hain
sada-lauhi ki nibTegi is rangin zamane se
do aankhon ka pichha karne lakh adaen aati hain
DhunDh rahi hai mere tan mein shayad meri ruh mujhe
apne sannaTon se kuchh manus sadaen aati hain
mera ek ek lamha karb liye phirta hai sadiyon ka
ek duniya ke raste mein kitni duniyaen aati hain
pahle sar se unchi lahron se bhi hum laD lete the
ab to in sukhe honTon par sirf duaen aati hain
dasht-nawardi ke dauran 'muzaffar' sar par dhup rahi
jab se kashti mein baiThe hain roz ghaTaen aati hain
- Book : Kalam-e- muzaffar warsi (Pg. 117)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.