raat guzri hai dar-ba-dar ho kar
raat guzrī hai dar-ba-dar ho kar
zindagī tujh se be-ḳhabar ho kar
muaaf karnā mire gunāhoñ ko
ḳhuld jaanā hai be-ḳhatar ho kar
shart-e-avval hai ḳhāna-e-dil kā
paañv rakhnā hai mo'atabar ho kar
tujh se malne kī ek hasrat hai
kab guzarnā hai mere ghar ho kar
un se chalne kī zid karo 'ahmad'
naqsh chūmūñgā rah guzar ho kar
raat guzri hai dar-ba-dar ho kar
zindagi tujh se be-KHabar ho kar
muaf karna mere gunahon ko
KHuld jaana hai be-KHatar ho kar
shart-e-awwal hai KHana-e-dil ka
panw rakhna hai mo'atabar ho kar
tujh se malne ki ek hasrat hai
kab guzarna hai mere ghar ho kar
un se chalne ki zid karo 'ahmad'
naqsh chumunga rah guzar ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.