Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat guzri na kam sitare hue

Zulfiqar Aadil

raat guzri na kam sitare hue

Zulfiqar Aadil

MORE BYZulfiqar Aadil

    raat guzrī na kam sitāre hue

    munkashif ham pe hijr saare hue

    naav do-laḳht ho ga.ī ik din

    do musāfir the do kināre hue

    phuul daldal meñ khil rahā hai yahāñ

    ham haiñ ik jism par utāre hue

    jaane kis vaqt niiñd aa.ī hameñ

    jaane kis vaqt ham tumhāre hue

    muddatoñ ba.ad kaam aa.e haiñ

    chand lamhe kahīñ guzāre hue

    apnī chhat par udaas baiThe haiñ

    ham parindoñ ruup dhāre hue

    raat guzri na kam sitare hue

    munkashif hum pe hijr sare hue

    naw do-laKHt ho gai ek din

    do musafir the do kinare hue

    phul daldal mein khil raha hai yahan

    hum hain ek jism par utare hue

    jaane kis waqt nind aai hamein

    jaane kis waqt hum tumhaare hue

    muddaton baad kaam aae hain

    chand lamhe kahin guzare hue

    apni chhat par udas baiThe hain

    hum parindon ka rup dhaare hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now