raat guzri phir andhera chha gaya
raat guzrī phir añdherā chhā gayā
apnā sūraj din chaḌhe gahnā gayā
ham na jaane kaun aalam meñ rahe
vaqt kaaTā jī na bahlāyā gayā
bas yahī thā un ko patthar dil pe naaz
zulm farmā.eñ taras kyoñ aa gayā
ma.arka-ārā hue the husn-o-ishq
biich meñ dil aa gayā maarā gayā
chaudhvīñ ke chāñd vaalī raat meñ
chāñd niklā thā ki bādal chhā gayā
kyā samajh sakte mohabbat kā fareb
yuuñ to samjhe jis qadar samjhā gayā
ham sar-e-rāh-e-vafā sunte rahe
kah gayā apnī sī har aaya gayā
aane vaalā thā añdherā raat kā
shaam hote duur tak saayā gayā
vaz.a-e-ḳhuddārī nibāhī to magar
ai 'razā' dāñtoñ pasīna aa gayā
raat guzri phir andhera chha gaya
apna suraj din chaDhe gahna gaya
hum na jaane kaun aalam mein rahe
waqt kaTa ji na bahlaya gaya
bas yahi tha un ko patthar dil pe naz
zulm farmaen taras kyon aa gaya
marka-ara hue the husn-o-ishq
bich mein dil aa gaya mara gaya
chaudhwin ke chand wali raat mein
chand nikla tha ki baadal chha gaya
kya samajh sakte mohabbat ka fareb
yun to samjhe jis qadar samjha gaya
hum sar-e-rah-e-wafa sunte rahe
kah gaya apni si har aaya gaya
aane wala tha andhera raat ka
sham hote dur tak saya gaya
waza-e-KHuddari nibahi to magar
ai 'raza' danton pasina aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.