raat hai kali ghaTa hai aur main
raat hai kaalī ghaTā hai aur maiñ
pur-ḳhatar ye rāsta hai aur maiñ
paar utarne kī koī sūrat nahīñ
kashtī-e-be-nā-ḳhudā hai aur maiñ
kis Dagar par aa daboche kyā pata
pīchhe pīchhe hādisa hai aur maiñ
āñdhiyoñ kā zor kam hotā nahīñ
phuus kā ye jhoñpaḌā hai aur meñ
apne andar kī dahaktī aag se
har koī sho.ala-navā hai aur maiñ
āfiyat kī karte rahiyegā duā
jaal sāzish kā bichhā hai aur maiñ
gardish-e-ayyām kā 'anjum' suno
silsila-dar-silsila hai aur maiñ
raat hai kali ghaTa hai aur main
pur-KHatar ye rasta hai aur main
par utarne ki koi surat nahin
kashti-e-be-na-KHuda hai aur main
kis Dagar par aa daboche kya pata
pichhe pichhe hadisa hai aur main
aandhiyon ka zor kam hota nahin
phus ka ye jhonpaDa hai aur mein
apne andar ki dahakti aag se
har koi shoala-nawa hai aur main
aafiyat ki karte rahiyega dua
jal sazish ka bichha hai aur main
gardish-e-ayyam ka 'anjum' suno
silsila-dar-silsila hai aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.