raat hai shahr-e-butan hai aur hum
raat hai shahr-e-butāñ hai aur ham
ārzū-e-be-karāñ hai aur ham
kaun guzrā hai sar-e-rāh-e-ḳhayāl
duur tak ik kahkashāñ hai aur ham
raat kī Dhaltī javānī ke rafīq
sirf ik pīr-e-muġhāñ hai aur ham
bujh chale haiñ saare yāroñ ke charāġh
ab charāġhoñ kā dhuāñ hai aur ham
har zamāne meñ milī haq ko salīb
ye qamīs-e-ḳhūñ-chakāñ hai aur ham
be-sutūñ taqdīr-e-har-farhād hai
ik mazāq-e-ḳhusravāñ hai aur ham
jis meñ jur.at ho vo muḌ kar dekh le
ek umr-e-rā.egāñ hai aur ham
raat hai shahr-e-butan hai aur hum
aarzu-e-be-karan hai aur hum
kaun guzra hai sar-e-rah-e-KHayal
dur tak ek kahkashan hai aur hum
raat ki Dhalti jawani ke rafiq
sirf ek pir-e-mughan hai aur hum
bujh chale hain sare yaron ke charagh
ab charaghon ka dhuan hai aur hum
har zamane mein mili haq ko salib
ye qamis-e-KHun-chakan hai aur hum
be-sutun taqdir-e-har-farhad hai
ek mazaq-e-KHusrawan hai aur hum
jis mein jurat ho wo muD kar dekh le
ek umr-e-raegan hai aur hum
- Book : Qamat (Pg. 30)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.