raat ek badnam ghar ki ho rahi thi chandni
raat ek badnam ghar ki ho rahi thi chandni
Anwar Ahmad Qureshi Nashtar
MORE BYAnwar Ahmad Qureshi Nashtar
raat ik badnām ghar kī ho rahī thī chāñdnī
ek mailī chāñdnī ko dho rahī thī chāñdnī
ik baḌe hotel kī vīrāñ chāñdnī par let kar
jaane kyoñ apnā taqaddus kho rahī thī chāñdnī
dostoñ ke saath vo thā mai-kade meñ raat bhar
aur bistar par akelī so rahī thī chāñdnī
shahr meñ jalte makāñ bahte lahū ko dekh kar
jañgaloñ meñ muñh chhupāte ro rahī thī chāñdnī
dhuup jhulsātī rahī din bhar jo khetoñ ko to kyā
raat ko apnī shuā.eñ bo rahī thī chāñdnī
raat thī vīrāñ khañDar thā maiñ thā merā karb thā
bojh mere dard-o-ġham kā Dho rahī thī chāñdnī
ġham kā sāthī kaun hai ye soch kar tanhā thā maiñ
saath lekin mere 'nashtar' ro rahī thī chāñdnī
raat ek badnam ghar ki ho rahi thi chandni
ek maili chandni ko dho rahi thi chandni
ek baDe hotel ki viran chandni par let kar
jaane kyon apna taqaddus kho rahi thi chandni
doston ke sath wo tha mai-kade mein raat bhar
aur bistar par akeli so rahi thi chandni
shahr mein jalte makan bahte lahu ko dekh kar
jangalon mein munh chhupate ro rahi thi chandni
dhup jhulsati rahi din bhar jo kheton ko to kya
raat ko apni shuaen bo rahi thi chandni
raat thi viran khanDar tha main tha mera karb tha
bojh mere dard-o-gham ka Dho rahi thi chandni
gham ka sathi kaun hai ye soch kar tanha tha main
sath lekin mere 'nashtar' ro rahi thi chandni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.