raat ik hādsa huā mujh meñ
ek darvāza sā khulā mujh meñ
mere andar charāġh jalte haiñ
raqs kartī hai ik havā mujh meñ
phir se ākār le rahā hai kahīñ
ek chehra nayā nayā mujh meñ
mujh ko ye kaam ḳhud hī karnā thā
umr bhar kaun jāgtā mujh meñ
ab bhī siina jalā rahā hai mirā
ek sūraj bujhā huā mujh meñ
jaane vo kaun hai jo rahtā hai
sahmā sahmā Darā Darā mujh meñ
raat ek hadsa hua mujh mein
ek darwaza sa khula mujh mein
mere andar charagh jalte hain
raqs karti hai ek hawa mujh mein
phir se aakar le raha hai kahin
ek chehra naya naya mujh mein
mujh ko ye kaam KHud hi karna tha
umr bhar kaun jagta mujh mein
ab bhi sina jala raha hai mera
ek suraj bujha hua mujh mein
jaane wo kaun hai jo rahta hai
sahma sahma Dara Dara mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.