raat jab TuT kar bikhar jae
raat jab TuuT kar bikhar jaa.e
jāgne vaalā phir kidhar jaa.e
umr guzrī hai jaise kānoñ se
sarsarātī havā guzar jaa.e
apnī yādeñ bhī saath le jā tū
ye tirā qarz bhī utar jaa.e
tez chalne meñ gir na jaa.e kahīñ
vaqt se bol do Thahar jaa.e
ab to tū bhī nahīñ hai dhaḌkan meñ
dil kā kyā kaam ab vo mar jaa.e
raat jab TuT kar bikhar jae
jagne wala phir kidhar jae
umr guzri hai jaise kanon se
sarsaraati hawa guzar jae
apni yaaden bhi sath le ja tu
ye tera qarz bhi utar jae
tez chalne mein gir na jae kahin
waqt se bol do Thahar jae
ab to tu bhi nahin hai dhaDkan mein
dil ka kya kaam ab wo mar jae
- Book : میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 169)
- Author : اجئے سحاب
- Publication : اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.