raat jhaTke se meri nind khuli TuT gai
raat jhaTke se mirī niiñd khulī TuuT ga.ī
kāñch kī chiiz thī Table se girī TuuT ga.ī
sho.abada-bāz ne ġhā.eb kiyā manzar se mujhe
be-gharī chhūT ga.ī aur chhaḌī TuuT ga.ī
ḳhāmushī naam kī ik shai hai mire siine meñ
tū mujhe haath lagā dekh abhī TuuT ga.ī
qahqaha dā.imī thā merā mire paas rahā
mātamī chup jo mirī naam kī thī TuuT ga.ī
saañs dīvār hai jīvan kī bahut ḳhasta mizāj
do minute Tek lage aur bhalī TuuT ga.ī
tum se is vāste mānūs nahīñ hotā maiñ
jo koī chiiz mujhe achchhī lagī TuuT ga.ī
zindagī tohfa milī jis ko nahīñ sarf kiyā
band Dabbe meñ na.ī chiiz paḌī TuuT ga.ī
ik zarā rañj nahīñ apnī halākat kā mujhe
dukh to ye hai tirī ḳhāmosh ravī TuuT ga.ī
raat jhaTke se meri nind khuli TuT gai
kanch ki chiz thi Table se giri TuT gai
shoabada-baz ne ghaeb kiya manzar se mujhe
be-ghari chhuT gai aur chhaDi TuT gai
KHamushi nam ki ek shai hai mere sine mein
tu mujhe hath laga dekh abhi TuT gai
qahqaha daimi tha mera mere pas raha
matami chup jo meri nam ki thi TuT gai
sans diwar hai jiwan ki bahut KHasta mizaj
do minute Tek lage aur bhali TuT gai
tum se is waste manus nahin hota main
jo koi chiz mujhe achchhi lagi TuT gai
zindagi tohfa mili jis ko nahin sarf kiya
band Dabbe mein nai chiz paDi TuT gai
ek zara ranj nahin apni halakat ka mujhe
dukh to ye hai teri KHamosh rawi TuT gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.