raat ka pichhla pahar hai chand Dhalta ja raha hai
raat ka pichhla pahar hai chand Dhalta ja raha hai
Vipin Suneja Shayeq
MORE BYVipin Suneja Shayeq
raat kā pichhlā pahar hai chāñd Dhaltā jā rahā hai
āḳhirī ummīd kā bhī vaqt Taltā jā rahā hai
ho gayā hai duur mashriq meñ ufuq kitnā sunahrā
rafta rafta rang har shai kā badaltā jā rahā hai
ab bhalā is zindagī ko kis tarah rakkhūñ bachā kar
ek TukḌā barf kā hai jo pighaltā jā rahā hai
ik zamāna haath meñ thā ho gayā qaabū se bāhar
muTThiyoñ ko bhīñchtā huuñ par phisaltā jā rahā hai
aaj tak dekhā nahīñ par lag rahā hai ab kuchh aise
kuchh khiñchā jaatā hai mujh se kuchh nikaltā jā rahā hai
raat ka pichhla pahar hai chand Dhalta ja raha hai
aaKHiri ummid ka bhi waqt Talta ja raha hai
ho gaya hai dur mashriq mein ufuq kitna sunahra
rafta rafta rang har shai ka badalta ja raha hai
ab bhala is zindagi ko kis tarah rakkhun bacha kar
ek TukDa barf ka hai jo pighalta ja raha hai
ek zamana hath mein tha ho gaya qabu se bahar
muTThiyon ko bhinchta hun par phisalta ja raha hai
aaj tak dekha nahin par lag raha hai ab kuchh aise
kuchh khincha jata hai mujh se kuchh nikalta ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.