raat ka sannaTa ho aur raaz-dan koi na ho
raat kā sannāTā ho aur rāz-dāñ koī na ho
bīviyāñ tanhā hī ghūmeñ aur miyāñ koī na ho
mamlikat ko fikr-e-ta.amīr-e-makāñ koī na ho
hoñ paḌe fōtpath pe sab āshiyāñ koī na ho
hai yahī jī meñ ki ham sab ḳhāna-jañgī meñ mareñ
mulk pe miTne kī ḳhātir ḳhāndāñ koī na ho
āpā-dhāpī kī fazā ho jo bhī chāhe luuT le
rāhbar nā-bīnā hoñ sab pāsbāñ koī na ho
aañkh se dekhā na jaa.e aql par parda paḌe
vo kisī se bhī mileñ mujh ko gumāñ koī na ho
jab huī ik laḌkī iġhvā shaiḳh ne dī bad-duā
is galī kā lauñDā yā-rab ab javāñ koī na ho
chāqū chhuriyāñ hall meñ laane ke ham qaa.il nahīñ
hai yahī kaafī ki bas ab imtihāñ koī na ho
rishvatoñ kā ḳhatm ho paa.e na koī silsila
C B I DhūñDhtī ho par nishāñ koī na ho
bak gayā hai 'rāz' kyā kyā dostoñ ke darmiyāñ
be-hayā muñh-phaT aur aisā bad-zabāñ koī na ho
raat ka sannaTa ho aur raaz-dan koi na ho
biwiyan tanha hi ghumen aur miyan koi na ho
mamlikat ko fikr-e-tamir-e-makan koi na ho
hon paDe footpath pe sab aashiyan koi na ho
hai yahi ji mein ki hum sab KHana-jangi mein maren
mulk pe miTne ki KHatir KHandan koi na ho
aapa-dhapi ki faza ho jo bhi chahe luT le
rahbar na-bina hon sab pasban koi na ho
aankh se dekha na jae aql par parda paDe
wo kisi se bhi milen mujh ko guman koi na ho
jab hui ek laDki ighwa shaiKH ne di bad-dua
is gali ka launDa ya-rab ab jawan koi na ho
chaqu chhuriyan hall mein lane ke hum qail nahin
hai yahi kafi ki bas ab imtihan koi na ho
rishwaton ka KHatm ho pae na koi silsila
C B I DhunDhti ho par nishan koi na ho
bak gaya hai 'raaz' kya kya doston ke darmiyan
be-haya munh-phaT aur aisa bad-zaban koi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.