raat kab aazim-e-safar na hui
raat kab āzim-e-safar na huī
vaqt kī baat thī sahar na huī
jis se taqdīr apne bas meñ ho
aisī tadbīr umr bhar na huī
rāhbar kab huā na terā ḳhayāl
kab tirī yaad ham-safar na huī
dard uThā bad-nasīb dil baiThā
ye to sab kuchh huā sahar na huī
un ko dekhā Tapak paḌe aañsū
dāstāñ aur muḳhtasar na huī
do jahāñ duur the qarīb thā maiñ
merī jānib kabhī nazar na huī
rahm aayā kabhī na un ko 'sa.īd'
shām-e-ġham kī kabhī sahar na hui
raat kab aazim-e-safar na hui
waqt ki baat thi sahar na hui
jis se taqdir apne bas mein ho
aisi tadbir umr bhar na hui
rahbar kab hua na tera KHayal
kab teri yaad ham-safar na hui
dard uTha bad-nasib dil baiTha
ye to sab kuchh hua sahar na hui
un ko dekha Tapak paDe aansu
dastan aur muKHtasar na hui
do jahan dur the qarib tha main
meri jaanib kabhi nazar na hui
rahm aaya kabhi na un ko 'said'
sham-e-gham ki kabhi sahar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.