Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat kai aawara sapne aankhon mein lahrae the

Unwan Chishti

raat kai aawara sapne aankhon mein lahrae the

Unwan Chishti

MORE BYUnwan Chishti

    raat ka.ī āvāra sapne āñkhoñ meñ lahrā.e the

    shāyad vo ḳhud bhes badal kar niiñd churāne aa.e the

    jīvan ke vo pyāse lamhe barsoñ meñ raas aa.e the

    raat tirī zulfoñ ke bādal mastī meñ lahrā.e the

    haa.e vo mahkī mahkī rāteñ haa.e vo bahke bahke din

    jab vo mere mehmāñ ban kar mere ghar meñ aa.e the

    tum ko bhī āġhāz-e-mohabbat yaad to hogā kam se kam

    pahle-pahal milte nazreñ ham donoñ sharmā.e the

    haa.e vo rabt-o-zabt-e-mohabbat haa.e ye pās-e-shart-e-vafā

    aaj na milne par bhī ḳhush haiñ kal mil kar pachhtā.e the

    raat kai aawara sapne aankhon mein lahrae the

    shayad wo KHud bhes badal kar nind churane aae the

    jiwan ke wo pyase lamhe barson mein ras aae the

    raat teri zulfon ke baadal masti mein lahrae the

    hae wo mahki mahki raaten hae wo bahke bahke din

    jab wo mere mehman ban kar mere ghar mein aae the

    tum ko bhi aaghaz-e-mohabbat yaad to hoga kam se kam

    pahle-pahal milte hi nazren hum donon sharmae the

    hae wo rabt-o-zabt-e-mohabbat hae ye pas-e-shart-e-wafa

    aaj na milne par bhi KHush hain kal mil kar pachhtae the

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 159)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now