Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ke andhe darichon ko munawwar dekhte

Peer Akram

raat ke andhe darichon ko munawwar dekhte

Peer Akram

MORE BYPeer Akram

    raat ke andhe darīchoñ ko munavvar dekhte

    ham khulī āñkhoñ se jo ḳhvāboñ ke manzar dekhte

    band rakkhe ḳhud hamīñ ne jab sabhī dīvār-o-dar

    kis tarah phir jhāñk kar us ghar ke andar dekhte

    kab hamāre haath aa.iiñ ḳhvāhishoñ titliyāñ

    'umr guzrī bas yūñhī rañgoñ ke paikar dekhte

    mauja-e-tūfāñ meñ utre ahl-e-dil be-iḳhtiyār

    sāhiloñ par rah ga.e saare shanāvar dekhte

    zindagī gahmā-gahmī ne ye fursat na

    ham hathelī par likhā apnā muqaddar dekhte

    sāhiloñ ret se chun rahe ho sīpiyāñ

    tum kabhī 'akram' samundar meñ utar kar dekhte

    raat ke andhe darichon ko munawwar dekhte

    hum khuli aankhon se jo KHwabon ke manzar dekhte

    band rakkhe KHud hamin ne jab sabhi diwar-o-dar

    kis tarah phir jhank kar us ghar ke andar dekhte

    kab hamare hath aain KHwahishon ki titliyan

    'umr guzri bas yunhi rangon ke paikar dekhte

    mauja-e-tufan mein utre ahl-e-dil be-iKHtiyar

    sahilon par rah gae sare shanawar dekhte

    zindagi ki gahma-gahmi ne ye fursat hi na di

    hum hatheli par likha apna muqaddar dekhte

    sahilon ki ret hi se chun rahe ho sipiyan

    tum kabhi 'akram' samundar mein utar kar dekhte

    Source :
    • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 445)
    • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
    • Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
    • Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now