raat ke baad sahar dekhenge
raat ke baad sahar dekheñge
ham duāoñ kā asar dekheñge
kaise har haal meñ ḳhush rahtā hai
ham bhī us kā ye hunar dekheñge
chhāñv detā hai sabhī ko ab tak
aao vo būḌhā shajar dekheñge
haal par sab ne jo chhoḌā hai mujhe
kaise hotī hai guzar dekheñge
karke 'āġhāz' safar kā tanhā
kaise kaTtā hai safar dekheñge
raat ke baad sahar dekhenge
hum duaon ka asar dekhenge
kaise har haal mein KHush rahta hai
hum bhi us ka ye hunar dekhenge
chhanw deta hai sabhi ko ab tak
aao wo buDha shajar dekhenge
haal par sab ne jo chhoDa hai mujhe
kaise hoti hai guzar dekhenge
karke 'aghaz' safar ka tanha
kaise kaTta hai safar dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.