raat ke dar pe ye dastak ye musalsal dastak
raat ke dar pe ye dastak ye musalsal dastak
āmad-e-sub.h-e-farozāñ kā patā detī hai
phūñk Dālegī ye ik roz qabā-e-sayyād
ātish-e-gul ko sabā aur havā detī hai
tīrgī-zādoñ se kab nuur kā sailāb thame
faisla vaqt kā tārīḳh sunā detī hai
aañch aatī hai sitāroñ se jo kuchh pichhle pahar
ḳhvāb-e-shīrīñ se nigāroñ ko jagā detī hai
kitnī nādīda bahāroñ kī tamannā-e-javāñ
dāman-e-jāñ meñ mire aag lagā detī hai
sīna-e-sañg meñ betāb hai vo kāvish-e-shauq
jo haqīqat ko bhī ḳhvāboñ kī ziyā detī hai
sham-e-mehrāb-e-vafā ban ke hayāt-e-rusvā
dil-nigārī kā mirī kuchh to silā detī hai
raat ke dar pe ye dastak ye musalsal dastak
aamad-e-subh-e-farozan ka pata deti hai
phunk Dalegi ye ek roz qaba-e-sayyaad
aatish-e-gul ko saba aur hawa deti hai
tirgi-zadon se kab nur ka sailab thame
faisla waqt ka tariKH suna deti hai
aanch aati hai sitaron se jo kuchh pichhle pahar
KHwab-e-shirin se nigaron ko jaga deti hai
kitni nadida bahaaron ki tamanna-e-jawan
daman-e-jaan mein mere aag laga deti hai
sina-e-sang mein betab hai wo kawish-e-shauq
jo haqiqat ko bhi KHwabon ki ziya deti hai
sham-e-mehrab-e-wafa ban ke hayat-e-ruswa
dil-nigari ka meri kuchh to sila deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.