raat ke gumbad mein yaadon ka basera ho gaya hai
raat ke gumbad mein yaadon ka basera ho gaya hai
P P Srivastava Rind
MORE BYP P Srivastava Rind
raat ke gumbad meñ yādoñ kā baserā ho gayā hai
chāñd kī qindīl jalte hī ujālā ho gayā hai
ḳhāmushī kī āñdhiyāñ bāġhī nazar aatī haiñ mujh ko
raat kaalī hai to sannāTā bhī kaalā ho gayā hai
ab mohabbat hai muravvat hai na ab inkisārī
aaj ke is daur meñ har shaḳhs nañgā ho gayā hai
qissa-e-reg-e-ravāñ jab āñdhiyoñ kī zad pe aayā
dhund kā hairat-zada aaseb tanhā ho gayā hai
raat ke gumbad mein yaadon ka basera ho gaya hai
chand ki qindil jalte hi ujala ho gaya hai
KHamushi ki aandhiyan baghi nazar aati hain mujh ko
raat kali hai to sannaTa bhi kala ho gaya hai
ab mohabbat hai murawwat hai na ab inkisari
aaj ke is daur mein har shaKHs nanga ho gaya hai
qissa-e-reg-e-rawan jab aandhiyon ki zad pe aaya
dhund ka hairat-zada aaseb tanha ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.