raat ke jangal mein koi rasta milta nahin
raat ke jañgal meñ koī rāsta miltā nahīñ
aisā uljhā huuñ ki ab apnā sirā miltā nahīñ
chup haiñ ab saare darīche band haiñ saare kivāḌ
aur kisī dīvār par koī diyā miltā nahīñ
iztirāb-e-ārzū kā saath deñ to kis tarah
dil purānā ho chukā hai aur nayā miltā nahīñ
jaane kis dariyā se ḳhushbū bāñdh kar laatī hai ye
dekhiye to jāda-e-mauj-e-sabā miltā nahīñ
mun.akis kartā hai jaane kaun merī hairateñ
aa.ine ko toḌ kar bhī aa.ina miltā nahīñ
band hote jā rahe haiñ vāpsī ke rāste
lauT kar dekhūñ to koī naqsh-e-pā miltā nahīñ
maan lo 'armān' ab ḳhushbū ke rishte mar ga.e
ab kisī gul ko kisī gul kā patā miltā nahīñ
raat ke jangal mein koi rasta milta nahin
aisa uljha hun ki ab apna sira milta nahin
chup hain ab sare dariche band hain sare kiwaD
aur kisi diwar par koi diya milta nahin
iztirab-e-arzu ka sath den to kis tarah
dil purana ho chuka hai aur naya milta nahin
jaane kis dariya se KHushbu bandh kar lati hai ye
dekhiye to jada-e-mauj-e-saba milta nahin
munakis karta hai jaane kaun meri hairaten
aaine ko toD kar bhi aaina milta nahin
band hote ja rahe hain wapsi ke raste
lauT kar dekhun to koi naqsh-e-pa milta nahin
man lo 'arman' ab KHushbu ke rishte mar gae
ab kisi gul ko kisi gul ka pata milta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.