raat ke pichhle pahar jis ne jagaya kya tha
raat ke pichhle pahar jis ne jagāyā kyā thā
koī āseb-zada hijr kā saaya kyā thā
na to ham samjhe na kī koī vazāhat dil ne
jaane apnā thā ki vo shaḳhs parāyā kyā thā
ye to sach hai ki laboñ ne na koī jumbish keī
par nigāhoñ ne jo paiġhām sunāyā kyā thā
yuuñ samundar kā havā se to koī rabt na thā
lahar ne phir bhī jo ye shor machāyā kyā thā
vo jo ehsās-e-ta.alluq thā ta.alluq ke baġhair
us ne samjhā na kabhī ham ne jatāyā kyā thā
raat ke pichhle pahar jis ne jagaya kya tha
koi aaseb-zada hijr ka saya kya tha
na to hum samjhe na ki koi wazahat dil ne
jaane apna tha ki wo shaKHs paraya kya tha
ye to sach hai ki labon ne na koi jumbish kei
par nigahon ne jo paigham sunaya kya tha
yun samundar ka hawa se to koi rabt na tha
lahar ne phir bhi jo ye shor machaya kya tha
wo jo ehsas-e-talluq tha talluq ke baghair
us ne samjha na kabhi hum ne jataya kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.