raat ke sans ki mahkar se sarshaar hawa
raat ke saañs kī mahkār se sarshār havā
jāgte shahr sulā detī hai bedār havā
ho ke sairāb ḳham-e-shab se sar-e-dāman-e-gul
sūrat-e-abr baras jaatī hai mai-ḳhvār havā
jaane kis tarah ḳhalāoñ meñ dhanak bantī hai
chāñd kī rañg bharī jhiil ke us paar havā
tālib-e-mauj-e-sahar jaatī hai lahroñ pe savār
sāhil-e-shab se uThātī hai jo patvār havā
kitnī yādeñ haiñ ki jhoñkoñ kī tarah tairtī haiñ
chhoḌ aatī hai safar meñ jinheñ mañjdhār havā
sar khule ḳhaak uḌātī huī āñgan āñgan
raat ke dard kā kar jaatī hai iz.hār havā
chāñd ke ras meñ bujhe lamhoñ kī tanhā.ī meñ
zahr-e-hijrāñ meñ hai Duubī huī talvār havā
kitne lamhe the ki ashkoñ kī tarah barse the
raat guzrī thī jo gaatī huī malhār havā
zard shāḳhoñ kī patāvar meñ uThātī huī hashr
'keats' kī nazm kā jaise koī kirdār havā
vo tirī jhūmtī zulfoñ kā ghanā jañgal hai
bhuul jaatī hai jahāñ shoḳhī-e-raftār havā
āsmāñ par safar-e-mauj-e-sahar se pahle
roz uThā detī hai ik rañg kī dīvār havā
raat ke sans ki mahkar se sarshaar hawa
jagte shahr sula deti hai bedar hawa
ho ke sairab KHam-e-shab se sar-e-daman-e-gul
surat-e-abr baras jati hai mai-KHwar hawa
jaane kis tarah KHalaon mein dhanak banti hai
chand ki rang bhari jhil ke us par hawa
talib-e-mauj-e-sahar jati hai lahron pe sawar
sahil-e-shab se uThati hai jo patwar hawa
kitni yaaden hain ki jhonkon ki tarah tairti hain
chhoD aati hai safar mein jinhen manjdhaar hawa
sar khule KHak uDati hui aangan aangan
raat ke dard ka kar jati hai izhaar hawa
chand ke ras mein bujhe lamhon ki tanhai mein
zahr-e-hijran mein hai Dubi hui talwar hawa
kitne lamhe the ki ashkon ki tarah barse the
raat guzri thi jo gati hui malhaar hawa
zard shaKHon ki patawar mein uThati hui hashr
'keats' ki nazm ka jaise koi kirdar hawa
wo teri jhumti zulfon ka ghana jangal hai
bhul jati hai jahan shoKHi-e-raftar hawa
aasman par safar-e-mauj-e-sahar se pahle
roz uTha deti hai ek rang ki diwar hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.