raat KHud par ro rahi hai
raat ḳhud par ro rahī hai
sub.h shāyad ho rahī hai
tū use aa kar jagā jā
hasrat-e-dil so rahī hai
kis kī aamad hai jo kab se
chāñdnī ghar dho rahī hai
tuḳhm-e-tanhā.ī mohabbat
kisht-e-dil meñ bo rahī hai
be-sabab kab thī udāsī
vaj.h bhī kuchh to rahī hai
un se kah paa.ī kahāñ maiñ
baat dil meñ jo rahī hai
jaane kyuuñ dil hai pareshāñ
jaane kyā shai kho rahī hai
raat KHud par ro rahi hai
subh shayad ho rahi hai
tu use aa kar jaga ja
hasrat-e-dil so rahi hai
kis ki aamad hai jo kab se
chandni ghar dho rahi hai
tuKHm-e-tanhai mohabbat
kisht-e-dil mein bo rahi hai
be-sabab kab thi udasi
wajh bhi kuchh to rahi hai
un se kah pai kahan main
baat dil mein jo rahi hai
jaane kyun dil hai pareshan
jaane kya shai kho rahi hai
- Book : Tishnagi (Pg. 62)
- Author : Minu Bakhshi
- Publication : Educational Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.