raat ki basi os paDi thi suraj ke angare par
raat kī baasī os paḌī thī sūraj ke angāre par
dam lene ko utre the ham ik niile sayyāre par
aadhī raat ke sannāTe meñ lashkar saarā ġhāfil thā
tanhā jab sālār girā aur chob paḌī naqqāre par
bhor samay pūrab kī jānib khiḌkī jab khul jā.egī
'ālam saarā raqs karegā qudrat ke ektāre par
vā'da-e-vasl pe 'umr guzārī landan ke mai-ḳhānoñ meñ
agle janm lahore meñ milnā chhajjū ke chaubāre par
ham majnūn farishtoñ kī tarkīb meñ hī betābi hai
pesh-qadam rahte haiñ chāhe jal hī jaa.eñ saare par
ġhaar kī dīvāroñ se le kar bollywōd kī filmoñ tak
mushkī ghoḌe par niklā thā pahuñchā ik tayyāre par
dilkash jismoñ ke bāġhoñ meñ ḳhaak uḌaa.ī jāvegī
kaa.ī jam jā.egī ik din marmar ke favvāre par
vaqt kā ik sailāb-e-ajal hai mauj-e-fanā kī tuġhyānī
kis meñ dam hai ai kaj-fahmo vaqt ke aage maare par
raat ki basi os paDi thi suraj ke angare par
dam lene ko utre the hum ek nile sayyare par
aadhi raat ke sannaTe mein lashkar sara ghafil tha
tanha jab salar gira aur chob paDi naqqare par
bhor samay purab ki jaanib khiDki jab khul jaegi
'alam sara raqs karega qudrat ke ektare par
wa'da-e-wasl pe 'umr guzari landan ke mai-KHanon mein
agle janm lahore mein milna chhajju ke chaubare par
hum majnun farishton ki tarkib mein hi betabi hai
pesh-qadam rahte hain chahe jal hi jaen sare par
ghaar ki diwaron se le kar bollywood ki filmon tak
mushki ghoDe par nikla tha pahuncha ek tayyare par
dilkash jismon ke baghon mein KHak uDai jawegi
kai jam jaegi ek din marmar ke fawware par
waqt ka ek sailab-e-ajal hai mauj-e-fana ki tughyani
kis mein dam hai ai kaj-fahmo waqt ke aage mare par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.