raat ki KHamoshi ka matha Thanka tha
raat kī ḳhāmoshī kā māthā Thankā thā
jaane kis ke haath kā kañgan khankā thā
jhiil ne apne siine par yuuñ Taañk liyā
jaise maiñ āvāra chāñd gagan kā thā
us kā lawn bahāroñ se ābād rahā
suukh gayā jo peḌ mire āñgan kā thā
tere qurb kī ḳhush-bū se maġhlūb huā
dil meñ jo aaseb akele-pan kā thā
dil se dar-o-dīvār kī ḳhvāhish kyuuñ na ga.ī
sahrā kā māhaul to mere man kā thā
raam use kar letā sachchā ishq mirā
lekin vo 'zīshān' pujārī dhan kā thā
raat ki KHamoshi ka matha Thanka tha
jaane kis ke hath ka kangan khanka tha
jhil ne apne sine par yun Tank liya
jaise main aawara chand gagan ka tha
us ka lawn bahaaron se aabaad raha
sukh gaya jo peD mere aangan ka tha
tere qurb ki KHush-bu se maghlub hua
dil mein jo aaseb akele-pan ka tha
dil se dar-o-diwar ki KHwahish kyun na gai
sahra ka mahaul to mere man ka tha
ram use kar leta sachcha ishq mera
lekin wo 'zishan' pujari dhan ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.