raat ki sari haqiqat din mein uryan ho gai
raat kī saarī haqīqat din meñ 'uryāñ ho ga.ī
ḳhvāb kī tā'bīr paḌh kar aañkh hairāñ ho ga.ī
har nafs sail-e-havādis har qadam amvāj-e-ġham
zindagī is daur meñ tūfāñ hī tūfāñ ho ga.ī
ārzū-dar-ārzū baḌhtī ga.iiñ mahrūmiyāñ
har tamannā rafta rafta dushman-e-jāñ ho ga.ī
kitnī be-mā'nī rifāqat abr ke TukḌoñ meñ thī
dekh kar mere gharauñde barq-o-bārāñ ho ga.ī
vo tire bachpan kī chingārī bhī thī mausam-shanās
jab javāñ hone ke din aa.e farozāñ ho ga.ī
soz-e-dil dard-e-jigar ḳhūn-e-tamannā ashk-e-ġham
ek laġhzish kitne afsānoñ kā 'unvāñ ho ga.ī
raat ki sari haqiqat din mein 'uryan ho gai
KHwab ki ta'bir paDh kar aankh hairan ho gai
har nafs sail-e-hawadis har qadam amwaj-e-gham
zindagi is daur mein tufan hi tufan ho gai
aarzu-dar-arzu baDhti gain mahrumiyan
har tamanna rafta rafta dushman-e-jaan ho gai
kitni be-ma'ni rifaqat abr ke TukDon mein thi
dekh kar mere gharaunde barq-o-baran ho gai
wo tere bachpan ki chingari bhi thi mausam-shanas
jab jawan hone ke din aae farozan ho gai
soz-e-dil dard-e-jigar KHun-e-tamanna ashk-e-gham
ek laghzish kitne afsanon ka 'unwan ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.