raat ki tirgi sajaenge
raat kī tīrgī sajā.eñge
āñsūon ke diye jalā.eñge
dil meñ dīvār ik uThā.eñge
dard terā alag basā.eñge
aap zulmoñ kī intihā kar leñ
ham abhī sabr āzmā.eñge
zindagī ke udaas lamhoñ meñ
aur kitne azaab ā.eñge
kāTnā haiñ jaḌeñ qadāmat kī
paude ab kuchh na.e lagā.eñge
koī sailāb aane tak 'āsī'
ham nadī paar kar hī jā.eñge
raat ki tirgi sajaenge
aansuon ke diye jalaenge
dil mein diwar ek uThaenge
dard tera alag basaenge
aap zulmon ki intiha kar len
hum abhi sabr aazmaenge
zindagi ke udas lamhon mein
aur kitne azab aaenge
kaTna hain jaDen qadamat ki
paude ab kuchh nae lagaenge
koi sailab aane tak 'asi'
hum nadi par kar hi jaenge
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 393)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.