raat ki zulf kahin ta-ba-kamar khul jae
raat kī zulf kahīñ tā-ba-kamar khul jaa.e
ham pe bhī chāñd sitāroñ kī Dagar khul jaa.e
thak ga.ī niiñd mire ḳhvāb ko Dhote Dhote
kyā ta.ajjub hai mirī aañkh agar khul jaa.e
merā sarmāya mire paaoñ ke chhāloñ kī tapak
rāste meñ hī na sab zād-e-safar khul jaa.e
aaj dariyā nahīñ kuuze meñ samāne vaalā
vaqt hai mujh pe mirā zo.am-e-hunar khul jaa.e
sab musāfir haiñ na.ī raah kī sab ko hai talāsh
sab pe mumkin to nahīñ rāh-e-digar khul jaa.e
apnī tanhā.ī meñ mahbūs huuñ muddat se 'nadīm'
tū agar saath ho dīvār meñ dar khul jaa.e
raat ki zulf kahin ta-ba-kamar khul jae
hum pe bhi chand sitaron ki Dagar khul jae
thak gai nind mere KHwab ko Dhote Dhote
kya tajjub hai meri aankh agar khul jae
mera sarmaya mere paon ke chhaalon ki tapak
raste mein hi na sab zad-e-safar khul jae
aaj dariya nahin kuze mein samane wala
waqt hai mujh pe mera zoam-e-hunar khul jae
sab musafir hain nai rah ki sab ko hai talash
sab pe mumkin to nahin rah-e-digar khul jae
apni tanhai mein mahbus hun muddat se 'nadim'
tu agar sath ho diwar mein dar khul jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.