raat kitni bojhal hai kis qadar andhera hai
raat kitnī bojhal hai kis qadar añdherā hai
dil gavāhī detā hai paas hī saverā hai
ek shah pe bach jaa.e shah pe shah chalī aa.e
maut ke khilāḌī ko zindagī ne gherā hai
nāsehoñ kā ehsāñ hai aap mujh ko samjhāte
jis galī meñ chhoḌ aa.e us galī kā pherā hai
kā.enāt ke dil meñ raqs-e-sad-e-bahārāñ bhī
kā.enāt ke dil meñ yaar kā bhī Derā hai
raat kitni bojhal hai kis qadar andhera hai
dil gawahi deta hai pas hi sawera hai
ek shah pe bach jae shah pe shah chali aae
maut ke khilaDi ko zindagi ne ghera hai
nasehon ka ehsan hai aap mujh ko samjhate
jis gali mein chhoD aae us gali ka phera hai
kaenat ke dil mein raqs-e-sad-e-bahaaran bhi
kaenat ke dil mein yar ka bhi Dera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.