raat ko dip ki lau kam nahin rakkhi jati
raat ko diip kī lau kam nahīñ rakkhī jaatī
dhuñdh meñ raushnī maddham nahīñ rakkhī jaatī
kaise dariyā kī hifāzat tire zimme Thahrā.ūñ
tujh se ik aañkh agar nam nahīñ rakkhī jaatī
is liye chhoḌ ke jaane lage sab chāra-garāñ
zaḳhm se izzat-e-marham nahīñ rakkhī jaatī
mere ashkoñ kī madad chāhiye batlāo mujhe
kaun se phuul pe shabnam nahīñ rakkhī jaatī
aise kaise maiñ tujhe chāhne lag jā.ūñ bhalā
ghar kī buniyād to ik dam nahīñ rakkhī jaatī
raat ko dip ki lau kam nahin rakkhi jati
dhundh mein raushni maddham nahin rakkhi jati
kaise dariya ki hifazat tere zimme Thahraun
tujh se ek aankh agar nam nahin rakkhi jati
is liye chhoD ke jaane lage sab chaara-garan
zaKHm se izzat-e-marham nahin rakkhi jati
mere ashkon ki madad chahiye batlao mujhe
kaun se phul pe shabnam nahin rakkhi jati
aise kaise main tujhe chahne lag jaun bhala
ghar ki buniyaad to ek dam nahin rakkhi jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.