raat ko gahri nind mein aksar yun mahsus sa hota hai
raat ko gahrī niiñd meñ aksar yuuñ mahsūs sā hotā hai
mere kāran ghar meñ koī chupke-chupke rotā hai
bāhar ko bāhar nahīñ samjhā ghar ko ghar hī nahīñ jaanā
ham kyā jāneñ ghar bāhar se kaisā rishta hotā hai
yūñhī kabhī ham fikr-e-suḳhan meñ jhapkī sī le lete haiñ
jaise aadhī raat ga.e dariyā kā paanī sotā hai
jaisī bhī terī bāteñ thiiñ dil hī Thahrā hai fankār
kaise kaise motī chun kar kyā kyā haar pirotā hai
ḳhaar nikāleñ paañv se ham aur aage aage pheñkte jaa.eñ
phir kahte haiñ koī hamārī raah meñ kāñTe botā hai
bastī kī bastī par kaisī chhāp hai ik anhonī kī
kaun baḌā le jā ke bhañvar meñ apnī naav Dubotā hai
sar meñ jab ākāsh samā.e tab hī sant koī kahlā.e
jis ke man meñ bahe gangā vo jaltī ret pe sotā hai
ik puurā ghar-bār hai terā jis kā tū rasiyā bhī hai
phir ye tū ash'ār meñ kaise 'talḳh' akelā hotā hai
raat ko gahri nind mein aksar yun mahsus sa hota hai
mere karan ghar mein koi chupke-chupke rota hai
bahar ko bahar nahin samjha ghar ko ghar hi nahin jaana
hum kya jaanen ghar bahar se kaisa rishta hota hai
yunhi kabhi hum fikr-e-suKHan mein jhapki si le lete hain
jaise aadhi raat gae dariya ka pani sota hai
jaisi bhi teri baaten thin dil hi Thahra hai fankar
kaise kaise moti chun kar kya kya haar pirota hai
KHar nikalen panw se hum aur aage aage phenkte jaen
phir kahte hain koi hamari rah mein kanTe bota hai
basti ki basti par kaisi chhap hai ek anhoni ki
kaun baDa le ja ke bhanwar mein apni naw Dubota hai
sar mein jab aakash samae tab hi sant koi kahlae
jis ke man mein bahe ganga wo jalti ret pe sota hai
ek pura ghar-bar hai tera jis ka tu rasiya bhi hai
phir ye tu ash'ar mein kaise 'talKH' akela hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.