raat ko subh de lafzon ko maani de de
raat ko sub.h de lafzoñ ko ma.ānī de de
aa mire vaqt ke dariyā ko ravānī de de
maiñ ne tai kar liyā sūraj kā safar āḳhir-kār
mere hisse meñ koī raat suhānī de de
kashtiyāñ ḳhvāb kī sab ḳhushk huī jaatī haiñ
un meñ phir apnī tamannāoñ kā paanī de de
dekhne ke liye de de koī bhūlā manzar
sochne ke liye ik baat purānī de de
raat ko subh de lafzon ko maani de de
aa mere waqt ke dariya ko rawani de de
main ne tai kar liya suraj ka safar aaKHir-kar
mere hisse mein koi raat suhani de de
kashtiyan KHwab ki sab KHushk hui jati hain
un mein phir apni tamannaon ka pani de de
dekhne ke liye de de koi bhula manzar
sochne ke liye ek baat purani de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.