raat kya soch raha tha main bhi
raat kyā soch rahā thā maiñ bhī
apne aalam kā ḳhudā thā maiñ bhī
vo bhī kuchh ḳhud se alag thā jaise
apne saa.e se judā thā maiñ bhī
vo bhī thā ek varaq saada kitāb
harf-e-be-saut-o-sadā thā maiñ bhī
sūrat-e-shāḳh-e-samar-dār thā vo
sūrat-e-dast-e-sabā thā maiñ bhī
vo bhī ik halqa-e-girdāb meñ thā
aur bas Duub chalā thā maiñ bhī
phuul khilne kā ajab mausam thā
aa.ina dekh rahā thā maiñ bhī
raat kya soch raha tha main bhi
apne aalam ka KHuda tha main bhi
wo bhi kuchh KHud se alag tha jaise
apne sae se juda tha main bhi
wo bhi tha ek waraq sada kitab
harf-e-be-saut-o-sada tha main bhi
surat-e-shaKH-e-samar-dar tha wo
surat-e-dast-e-saba tha main bhi
wo bhi ek halqa-e-girdab mein tha
aur bas Dub chala tha main bhi
phul khilne ka ajab mausam tha
aaina dekh raha tha main bhi
- Book : Pakistani Adab (Pg. 477)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.