raat lahraya lams KHushbu ka
raat lahrāyā lams ḳhushbū kā
saaya raushan huā thā gesū kā
āḳhirī niiñd ke safar kī havas
'ishq tālib hai tere pahlū kā
dasht karne lagā hai mujh meñ ram
ḳhvāb dekhā thā chashm-e-āhū kā
dil ke maidāñ meñ khel jaarī hai
us kī āñkhoñ kā mere aañsū kā
zindagī ke daraḳht kā mela
jaise phal koī tez chāqū kā
raat lahraya lams KHushbu ka
saya raushan hua tha gesu ka
aaKHiri nind ke safar ki hawas
'ishq talib hai tere pahlu ka
dasht karne laga hai mujh mein ram
KHwab dekha tha chashm-e-ahu ka
dil ke maidan mein khel jari hai
us ki aankhon ka mere aansu ka
zindagi ke daraKHt ka mela
jaise phal koi tez chaqu ka
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 87)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.