raat mein aaftab na-mumkin
raat meñ āftāb nā-mumkin
ya.anī tābīr-e-ḳhvāb nā-mumkin
pyaar kī bastiyāñ basā kar ḳhud
dil ho ḳhāna-ḳharāb nā-mumkin
ranj-o-ġham zindagī kī sachchā.ī
zindagī ik sarāb nā-mumkin
mujh se ā.īna kal ye kahtā thā
tum aur ālī-janāb nā-mumkin
ye alag baat thoḌā talḳh sahī
varna sach kā javāb nā-mumkin
ho qalam-zād aa.ine kī tarah
koī aisī kitāb nā-mumkin
ai 'jamīl' us ke baa'd duniyā meñ
ho koī lā-javāb nā-mumkin
raat mein aaftab na-mumkin
yani tabir-e-KHwab na-mumkin
pyar ki bastiyan basa kar KHud
dil ho KHana-KHarab na-mumkin
ranj-o-gham zindagi ki sachchai
zindagi ek sarab na-mumkin
mujh se aaina kal ye kahta tha
tum aur aali-janab na-mumkin
ye alag baat thoDa talKH sahi
warna sach ka jawab na-mumkin
ho qalam-zad aaine ki tarah
koi aisi kitab na-mumkin
ai 'jamil' us ke ba'd duniya mein
ho koi la-jawab na-mumkin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.