raat mili tanhai mili aur jam mila
raat milī tanhā.ī milī aur jaam milā
ghar se nikle to kyā kyā ārām milā
ek bahut hī bojhal shaam ke aate hī
suune dil ko yādoñ kā kohrām milā
vahī mohalla vahī purānā ghar thā vahāñ
darvāze par lekin aur hī naam milā
kaam kī ḳhātir din-bhar dauḌ lagāte haiñ
bekārī meñ āḳhir kuchh to kaam milā
milā na 'alvī' naam adab ke daftar meñ
pāñch baras chup rahne kā in.aam milā
raat mili tanhai mili aur jam mila
ghar se nikle to kya kya aaram mila
ek bahut hi bojhal sham ke aate hi
sune dil ko yaadon ka kohram mila
wahi mohalla wahi purana ghar tha wahan
darwaze par lekin aur hi nam mila
kaam ki KHatir din-bhar dauD lagate hain
bekari mein aaKHir kuchh to kaam mila
mila na 'alwi' nam adab ke daftar mein
panch baras chup rahne ka inam mila
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 53)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.