raat ne apni rakh uThai din rakkha darwaze par
raat ne apnī raakh uThā.ī din rakkhā darvāze par
jamne lagī thiiñ kohr meñ aaheñ kaun rukā darvāze par
arboñ logoñ tak jaanā thā sab kā hissa pahuñchānā thā
būḌhā din bhī ḳhuub thakā to aan girā darvāze par
do āñkheñ aur ḳhvāb hazāroñ resham ke juzdānoñ meñ
kaun musāfir apnā sāmāñ chhoḌ gayā darvāze par
nam āñkhoñ se jaane vaalā kaisā va.ada sauñp gayā
ek yaqīñ kā biij girā aur peḌ ugā darvāze par
galī kī kachchī barf pe kis ke pairoñ kā hai taaza naqsh
be-dastak jo lauT gayā kaun aaya thā darvāze par
us ik raḳht-e-safar kī ḳhushbū saare safar meñ saath rahī
us ne chalte vaqt jo haat pe bosa diyā darvāze par
kabhī na aane vaale ek musāfir ke imkān andar
shab-bhar bell par kaan rahe aur dhyān rahā darvāze par
raat ne apni rakh uThai din rakkha darwaze par
jamne lagi thin kohr mein aahen kaun ruka darwaze par
arbon logon tak jaana tha sab ka hissa pahunchana tha
buDha din bhi KHub thaka to aan gira darwaze par
do aankhen aur KHwab hazaron resham ke juzdanon mein
kaun musafir apna saman chhoD gaya darwaze par
nam aankhon se jaane wala kaisa wada saunp gaya
ek yaqin ka bij gira aur peD uga darwaze par
gali ki kachchi barf pe kis ke pairon ka hai taza naqsh
be-dastak jo lauT gaya kaun aaya tha darwaze par
us ek raKHt-e-safar ki KHushbu sare safar mein sath rahi
us ne chalte waqt jo hat pe bosa diya darwaze par
kabhi na aane wale ek musafir ke imkan andar
shab-bhar bell par kan rahe aur dhyan raha darwaze par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.