raat phir bolti rahin aankhen
raat phir boltī rahīñ āñkheñ
raaz sab kholtī rahīñ āñkheñ
kis tarah e'tibār kar paate
har taraf Doltī rahīñ āñkheñ
mere kapḌoñ se ghar se gaaḌī se
haisiyat taultī rahīñ āñkheñ
chehre kitne naqāb pahne the
sūrateñ moltī rahīñ āñkheñ
thī vahāñ mai na saaqī paimāne
par nasha gholtī rahīñ āñkheñ
raat phir bolti rahin aankhen
raaz sab kholti rahin aankhen
kis tarah e'tibar kar pate
har taraf Dolti rahin aankhen
mere kapDon se ghar se gaDi se
haisiyat taulti rahin aankhen
chehre kitne naqab pahne the
suraten molti rahin aankhen
thi wahan mai na saqi paimane
par nasha gholti rahin aankhen
- Book : مٹھی بھر چاندنی (Pg. 38)
- Author : ریکھا راج ونشی
- Publication : 20دوسری منزل پٹ پڑ گنج گاؤں،نئی دہلی۔110091 (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.