raat raushan na hui kahkashan hote hue
raat raushan na huī kāhkashāñ hote hue
maiñ bhī lau de na sakā shola-e-jāñ hote hue
kar liyā jazb mirā duur kināroñ ne vajūd
mauj-e-dariyā na banā jū-e-ravāñ hote hue
kyuuñ girāñ-bār hai ehsās pe tanhā.ī kī sub.h
paas mere tire hone kā gumāñ hote hue
ye bhī mumkin hai ki maiñ jañg meñ fāteh Thahrūñ
tere qabze meñ mere tiir o kamāñ hote hue
jab ki be-rañg rahe baaġh bahāroñ meñ 'shahāb'
tere jañgal meñ khile phuul ḳhizāñ hote hue
raat raushan na hui kahkashan hote hue
main bhi lau de na saka shola-e-jaan hote hue
kar liya jazb mera dur kinaron ne wajud
mauj-e-dariya na bana ju-e-rawan hote hue
kyun giran-bar hai ehsas pe tanhai ki subh
pas mere tere hone ka guman hote hue
ye bhi mumkin hai ki main jang mein fateh Thahrun
tere qabze mein mere tir o kaman hote hue
jab ki be-rang rahe bagh bahaaron mein 'shahab'
tere jangal mein khile phul KHizan hote hue
- Book : Zehne Jadid (Pg. 149)
- Author : Jamshed Jahan
- Publication : C-2 AB Complex, 179, Zakir Nagar, New Delhi-25 (issue:64 Sep To Jan 2013)
- Edition : issue:64 Sep To Jan 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.