raat sho’la-ba-kaf hai wahshat hai
raat sho’la-ba-kaf hai vahshat hai
yahī dozaḳh to apnī jannat hai
āñdhiyāñ tez be-niyāzī kī
aur raushan charāġh-e-hasrat hai
naġhma-o-daf na yār-e-ġhār koī
rusvā rusvā sī apnī hijrat hai
haañ mujhe hai farāġh zaḳhmoñ se
haañ mujhe aap kī zarūrat hai
sair-e-iqlīm-e-dostāñ kar lī
kin mazāroñ kī ab ziyārat hai
raat sho’la-ba-kaf hai wahshat hai
yahi dozaKH to apni jannat hai
aandhiyan tez be-niyazi ki
aur raushan charagh-e-hasrat hai
naghma-o-daf na yar-e-ghaar koi
ruswa ruswa si apni hijrat hai
han mujhe hai faragh zaKHmon se
han mujhe aap ki zarurat hai
sair-e-iqlim-e-dostan kar li
kin mazaron ki ab ziyarat hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 39)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.