raat tanhai mein bula ke mujhe
raat tanhā.ī meñ bulā ke mujhe
ḳhuub royā gale lagā ke mujhe
saare din kī takān jaatī rahī
us ne dekhā jo muskurā ke mujhe
terī āñkhoñ meñ kis kī hai ye chamak
kaun raushan huā bujhā ke mujhe
ab mirā phone bhī uThātā nahīñ
jis ne māñgā thā haath uThā ke mujhe
din-ba-din aur qarīb kartā gayā
dekhnā us kā duur jā ke mujhe
maiñ bhī dānista haar jaatā huuñ
vo jo ḳhush hotā hai harā ke mujhe
hādsoñ se huuñ is qadar mānūs
ab Darāte nahīñ dhamāke mujhe
terī āġhosh meñ vo yaad aayā
aur phir le gayā bahā ke mujhe
merā ġhussa vo hañs ke piitī rahī
taur sikhlā ga.ī vafā ke mujhe
phir nayā 'ishq ho chalā hai 'nūr'
ab ke chalnā hai bach-bachā ke mujhe
raat tanhai mein bula ke mujhe
KHub roya gale laga ke mujhe
sare din ki takan jati rahi
us ne dekha jo muskura ke mujhe
teri aankhon mein kis ki hai ye chamak
kaun raushan hua bujha ke mujhe
ab mera phone bhi uThata nahin
jis ne manga tha hath uTha ke mujhe
din-ba-din aur qarib karta gaya
dekhna us ka dur ja ke mujhe
main bhi danista haar jata hun
wo jo KHush hota hai hara ke mujhe
hadson se hun is qadar manus
ab Daraate nahin dhamake mujhe
teri aaghosh mein wo yaad aaya
aur phir le gaya baha ke mujhe
mera ghussa wo hans ke piti rahi
taur sikhla gai wafa ke mujhe
phir naya 'ishq ho chala hai 'nur'
ab ke chalna hai bach-bacha ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.