raat to bit chuki phir bhi nasha tari hai
raat to biit chukī phir bhī nasha taarī hai
kyā koī kashmakash-e-ḳhvāb-o-ḳhabar jaarī hai
kyoñ na sarshār kare sāz-e-ḳhamoshī mujh ko
mast huuñ jis se vo nashsha mirī nādārī hai
bāġh-e-imkāñ koī parda hai ki jis ke ojhal
ek hī gul hai yahāñ jis kī mahak saarī hai
ik ziyāñ jaan kā hotā to koī baat na thī
us se milne meñ ka.ī tarah kī dushvārī hai
raat to bit chuki phir bhi nasha tari hai
kya koi kashmakash-e-KHwab-o-KHabar jari hai
kyon na sarshaar kare saz-e-KHamoshi mujh ko
mast hun jis se wo nashsha meri nadari hai
bagh-e-imkan koi parda hai ki jis ke ojhal
ek hi gul hai yahan jis ki mahak sari hai
ek ziyan jaan ka hota to koi baat na thi
us se milne mein kai tarah ki dushwari hai
- Book : غبار حیرانی (Pg. 119)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.