raat ummid-e-ufuq par ek sitara dekh kar
raat ummīd-e-ufuq par ik sitāra dekh kar
ham to bhāge bhāge aa.e haiñ ishāra dekh kar
kuchh nivāle kuchh havā.eñ qaid meñ haiñ aur kyā
vaise tum kyā sochtī ho ik ġhubāra dekh kar
dhundlī sī is fazā meñ ik nazar kuchh bhī nahīñ
ham ko pahchāno dobāra phir dobāra dekh kar
ḳhāmushī hai siina siina galiyoñ galiyoñ shor hai
dil dahal uThtā hai dillī kā nazāra dekh kar
ḳhushk pattoñ sā hai 'sāqib' ek andāza lagāo
kyā tamanna jāgtī hogī sharāra dekh kar
raat ummid-e-ufuq par ek sitara dekh kar
hum to bhage bhage aae hain ishaara dekh kar
kuchh niwale kuchh hawaen qaid mein hain aur kya
waise tum kya sochti ho ek ghubara dekh kar
dhundli si is faza mein ek nazar kuchh bhi nahin
hum ko pahchano dobara phir dobara dekh kar
KHamushi hai sina sina galiyon galiyon shor hai
dil dahal uThta hai dilli ka nazara dekh kar
KHushk patton sa hai 'saqib' ek andaza lagao
kya tamanna jagti hogi sharara dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.