raat usko rula diya maine
raat us ko rulā diyā maiñ ne
sab ġhamoñ kā maza liyā maiñ ne
zikr kar ke tirī udāsī kā
saare phūloñ ko chup kiyā maiñ ne
ek din shā'irī batā degī
ḳhud ko tanhā nahīñ jiyā maiñ ne
aisī tartīb dī sitāroñ ko
aap kā naam likh diyā maiñ ne
qabr laa.iq zamīn mil hī ga.ī
'umr-bhar kuchh nahīñ kiyā maiñ ne
vo dubāra nazar nahīñ aayā
jis ko terā pata diyā maiñ ne
Duub kar mar gayā samundar meñ
khārā paanī nahīñ piyā maiñ ne
raat us ko rula diya main ne
sab ghamon ka maza liya main ne
zikr kar ke teri udasi ka
sare phulon ko chup kiya main ne
ek din sha'iri bata degi
KHud ko tanha nahin jiya main ne
aisi tartib di sitaron ko
aap ka nam likh diya main ne
qabr laiq zamin mil hi gai
'umr-bhar kuchh nahin kiya main ne
wo dubara nazar nahin aaya
jis ko tera pata diya main ne
Dub kar mar gaya samundar mein
khaara pani nahin piya main ne
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 93)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.