raat uThi dil se yun fughan dilkash
raat uThī dil se yuuñ fuġhāñ dilkash
jaise ka.aba kī ho azaañ dilkash
un ke kūche kā hai samāñ dilkash
vo zamīñ dilkash āsmāñ dilkash
dil-shikan vaqt un ke jaane kā
aamad aamad kā vo samāñ dilkash
aap kī bāteñ dil-fareb to haiñ
na sahī merī dāstāñ dilkash
lutf-e-tark-e-ta.alluqāt na pūchh
hai makāñ se bhī lā-makāñ dil-kash
husn kā jis meñ zikr ho 'muztar'
kyoñ na ho phir vo dāstāñ dil-kash
raat uThi dil se yun fughan dilkash
jaise kaba ki ho azan dilkash
un ke kuche ka hai saman dilkash
wo zamin dilkash aasman dilkash
dil-shikan waqt un ke jaane ka
aamad aamad ka wo saman dilkash
aap ki baaten dil-fareb to hain
na sahi meri dastan dilkash
lutf-e-tark-e-talluqat na puchh
hai makan se bhi la-makan dil-kash
husn ka jis mein zikr ho 'muztar'
kyon na ho phir wo dastan dil-kash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.