raaten mubarak saaton wali aur din barakat wale
Interesting Fact
Volume: 100, August-September. 1976 (Dedicated to Saqi Faruqi)
rāteñ mubārak sā.atoñ vaalī aur din barakat vaale
merī pūñjī kab lauTā.egā niilī chhat vaale
hadd-e-nigāh tilak phailā hai an-dekhā aaseb
gosha-e-dil meñ jhilmil jhilmil diip ibādat vaale
chāroñ jānib rachī huī hai ashkoñ kī bū-bās
is raste se guzre hoñge qāfile hijrat vaale
ek kalī mahkā.e hue thī puure baaġh kā baaġh
us kī galī ke saare log the achchhī aadat vaale
kabhī ye āñkheñ ḳhud bhī uḌā kartī thiiñ patañg ke saath
duur darīche se hote the ishāre hairat vaale
pichhlī raat ke qahr se pahle kī hai baat jamāl
apnī jholī meñ the chand sitāre qismat vaale
raaten mubarak saaton wali aur din barakat wale
meri punji kab lauTaega nili chhat wale
hadd-e-nigah tilak phaila hai an-dekha aaseb
gosha-e-dil mein jhilmil jhilmil dip ibaadat wale
chaaron jaanib rachi hui hai ashkon ki bu-bas
is raste se guzre honge qafile hijrat wale
ek kali mahkae hue thi pure bagh ka bagh
us ki gali ke sare log the achchhi aadat wale
kabhi ye aankhen KHud bhi uDa karti thin patang ke sath
dur dariche se hote the ishaare hairat wale
pichhli raat ke qahr se pahle ki hai baat jamal
apni jholi mein the chand sitare qismat wale
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 930)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.